Islamabad: Mulk kay beshter elaqon main aaj mausam garam aur martoob rahay ga jabkay punjab main barish ki pesh goi ki gayi hai.
Tafseelat kay mutabiq mehakmah e mosamiyat nay aaj punjab aur pahari elaqon main barish ka imkaan zahir kiya gaya hai, jabkay mulk kay beshter elaqon main mausam garam rahay ga.
Mehakmah mausamiat kay mutabiq aindah 24 ghanton kay doran Karachi, Hyderabad, Sukkur, Quetta, Qallat, Bar rakhan, turbat, faislabad, multan, sargodha aur di khan main mausam garam aur martoob rahay ga.
mulk kay shaher rawalpindi, guzranwala, lahore, hazara, islamabad, gilgit baltistan aur kashmir main chand muqamaat par tez havaoun aur giraj chamak kay sath barish ka imkaan hai.
mehakmah e mausamiyat ka kehna tha kay guzishta roz sab say ziada darjah e hararat dadu, sibhi, aur naukandi main 42 degree centigrade record kiya gay.
Leave a Comment