Roman Latest News - ARY News

Finance bill: Wazeer e azam, Governor, aur wuzra ka tax istasna khtham
Islamabad: wafaqi wazeer khazana asad umer nay zimni finance bill pesh kardiya, wazeer e azam, Governor, Aur wuzra ka tax istasna khtam kardiya gaya, sab ko aam Pakistaniyon ki tarhan tax dena hoga.

Tafseelat kay mutabiq Pakistan Tehreek e insaaf ki hukumat nay aaj baroz mangal zimni finance bill parliament main pesh kiya, parliament main bill pesh kartay huvay in ka kehna tha kay guzishta hukumat kay budget par chaltay to muashi lehaz say shadeed nuqsanat ka samna karna parta finanace bill main kaha gaya hai kay sabqa budget main khasara 1900 arab rupay say tajawuz kar jayega.

Parliament main bill pesh kartay huvay asad umer ka kehna tha kay muslim leaugue N kay pesh karda budget kay mutabiq inhen 8.2 fesaad budget khasara mila tha, qarzon main 34 arab rupay say zaid ka izafa huva hai, qarzay lene kay bawajud hamaray zaraemubadla kay dakhair do mah kay daramad kay liye bhi nahi hai, zarmubadlah kay zakhair 5 say 6 haftay ki satah par aye to dollar ki qeemat sab nay dekhli aur zar e mubadlah zakhair mazeed neechay anay say rupiya aur dabao main ayega.

In ka kehna tha kay rupay ki qadar kam honay say ashiyae khor do nosh tak mahengi hogayin hain. rupay ki qadar kam hoti hai to maqami gas bhi mahengi hoti hai, rupay ki qadar kam honay say tamam cheezon par barae rast asar hota hai.

Asad umer nay bataya kay mulk kay berooni qarzay 60 arab say barh kar 95 arab dollar hogaye hain jabkay circular debit main saray 500 arab ka izafa huva hai, hukumati debit 28 hazaar arab say tajawuz kargaya hai. imhon nay bataya kay workers diplomat fund ka 40 arab say zaid o wafaq nay roka huva hai aur mazdooron ki falah kay liye jo kam hotay hain vo tamam kaam rukay huvay hain.

Wifaq aur Punjab hukumat ka wafad begum kulsoom nawaz ki namaz e janaza main shirkat karega.
Islamabad:  Wafaq aur Punjab hukumat ka wafad begum kulsoom nawaz ki namaz e janaza main shirkat karega, Speaker quomi assembly asad qaiser, Governor Punjab Chaudry sarwar aur wazeer e alla Punjab Usman buzdar wafd main shamil hain.

Tafseelat kay mutabiq wafaq aur punjab hukumat ka wafd sabiq wazeer e azam Nawaz Sharif ki aheliya Begum Kulsoom Nawaz ki Namaz e janaza main shirkat karega, Speaker quomi assembly asad qaiser, Governor Punjab Chaudry Sarwar aur Wazeer e aala Punjab Usman Buzdar namaz e janaza main shirkat kay liye jati umrah pohanchay gay.

Pakistan Tehreek e Insaaf kay degar rehnuma bhi begum kulsoom nawaz ki Namaz e janaza main shirkat karengay.

Begum kulsoom nawaz ki maiyyat Ambulance kay zarye Jati umrah pohancha di gayi, maiyyat sharif medical hospital kay sard khanay main rakhvaingayin hain.

Begum kulsoom nawaz ki namaz e janaza sharif medical city main aaj sham ada ki jayegi, maroof mablig Maulana Tariq Jameel namaz e janaza parhaingay, jis kay bad tadfeen jati umrah main hi hogi.

Begum Kulsoom Nawaz ki maiyyat jati umrah pohnachadi gayi
Lahore: Sabiq Wazeer e azam nawaz sharif ki aheliya begum kulsoom nawaz ki maiyyat jati umrah pohancha di gayi hai, Namaz e janaza jati umrah kay Medical city ground main ada ki jayegi, Maulana Tariq Jameel namaz e janaza parhaingay.

Tafseelat kay mutabiq Muslim Leaugue N kay saddar shahbaz shaarif aaj subha begum kulsoom nawaz ki maiyyat kay hamra london say lahore airport pohanchay. Kulsoom nawaz ki maiyyat Pakistan lanay vali parvaaz pk 758 ko sawah ghanta takheer ka samna karna para tha.

Maiyyat kay hamra in ki sahabzadi Asma Nawaz, Hassan Nawaz, Aur Hussian Nawaz kay sahab zaday shehbaz sharif aur degar ahele khana samet 13 afraad watan wapis pohnachay hain.

Begum kulsoom nawaz ki maiyyat ko airport par wasool karnay kay liye shareef khandaan kay degar afraad bhi watan wapis pohanchay thay.

Sabiq wazeer e azam ki aheliya begum kulsoom nawaz ki namaz e janaza aur tadfeen shareef medical complex Raiwind umrah main ki jayegi. Inhen Nawaz Sharif kay walid miyan muhammad sharif kay pehlun main supurd e khak kiya jayega.

Namaz e janaza ki tayariyan mukammal karli gayim hain. Janazah gah main safon ki nishandahi kay liye lines lagadin gayin hain jabkay loud speaker bhi nasb kardiya gaya hai.

Zarae kay mutabiq Jati umran kay iteraaf main 3 muqamat par security high alert rakhi gayi hai, jabkay karkunaan ko sui gas society ki janib say Annay ki ijazat hogi.

Imran Khan itwaar ko khush khabri laykar Karachi arhay hain, Ali Zaidi
Karachi: Wazeer baraye Behri amoor Ali zaidi ka kehna hai kay Imran Khan itwaar ko khush khabri lay kar Karachi arhay hain, Karachi walon kay liye khush khabri ka elaan wazeer e azam khud karengay.

Tafseelat kay mutabiq wazeer baraye behri amoor Ali zaidi nay Karachi Airport par Media say guftagu kartay huvay kaha, Imran khan ko quom ko jaganay main 22 saal lag gaye, Wazeer e azam Imran khan nay Karachi par khaass tawajah di hai.

Wazeere baraye behri amoor ka kehna tha kay itwaar ko wazeer e azam Imran khan ka daura Karachi khususi ahmiyat ka hamil hai aur apnay is doray main shehr e quaid kay liye khususi elanaat karengay.

Ali zaidi nay kaha kay vohi mulk taraqqi karta hai, jahan behri nizam munazzam ho, Dubai ki tarraqi bhi badar gah say shuru hui thi. Yahan Karachi main ye haal hai kay kay lakhon gallon ganda pani roz samandar main phenka jata hai.

Corruption kay havalay say in ka kehna tha kay wazarat baraye behri amor bhi corruption ki nazar hui, jald idaray main honay vali couruption say agha karunga.

wazeer baraye behri amoor nay wazarat ko darpesh masail say mutalliq jald press conference karunga.

Guzishta roz wazeer behri amoor syed ali haider zaidi nay naval headquarter Islamabad main Pak behriya kay sarbarah say mulaqat ki thi, mulaqaat kay doran marie time amour par tabadalah khayal kiya gaya.

Tarjuman Pak behriya ka kehna tha kay naval chief nay mulk main moujood marie time potential par roshni daali aur wazeer behri amour ko marie time sector ki taraqqi aur security say muttaliq Pak behriya kay iqdamat say bhi agha kiya gaua.

Is moqay par Wafaqi wazeer nay Marie Time sector ki tarraqi aur aalmi behri aman main Pak behriya kay kirdar ko saraha.

Police par koi dabao nahi, acha kaam karnay walay ko inaam dain gay: IG Sindh
Karachi: Naye IG Sindh ka kehna hai kay gair janib dar rehte huvay police apna kaam jari rakhay gi, Police par koi dabao nahi, Acha kaam karnay walon ko inaam diya jayega.

Tafseelat kay mutabiq naye IG Sindh kaleem imam mazar e quaid pohanchay. in kay hamra degar afsaraan bhi moujood thay. IG Sindh nay Mazar e quaid par fateha khuwani ki.

Mazar kay bahar Media say guftagu kartay huvay in ka kehna tha kay shukar guzar hun kay IG sindh bannay aur Khidmat karnay ka moqa mila yaqeen dilata hun Professionalism say kam krengay.

Inhon nay kaha kay Sindh police kay shuda aur lavaheqeen ko salam pesh karta hoon, Sindh police kay  ghaziyon ko salam pesh karta hoon, ‘Shuda kay bachay hamaray bachay hain’.

IG Sindh ka kehna tha kay Karachi bara shehar hai, police ki salahyaton main izafa karengay. Hamarai kotahi ki nishandahi  karen, awam ki hifazat hamari zimeedari hai. Naik niyati say kam karengay.

Inhon nay kaha kay hukummat khususan wazeer e aala Sindh nay hidayat ki hai kay hamen nateeja chiye. Gair janib dar rehte huvay police apna kaam police apna kaam jari rakhay gi, Police par koi dabao nahi, Acha kaam karnay walay ko inaam diya jayega.

IG Sindh ka mazeed kehna tha kay juraim main Police ahelkaron ko koi reayatnahi milegi.

Khayal rahay kay Kaleem imam nay Sindh Police kay 59 veen Inspector General  (IG) ka charge guzishta roz sambhala hai.

Kaleem imam mehakma police say guzishta 25 saal say wabasta hain. Doctorate  ki degree rakhnay walay Dr kaleem ko june 2018 main IG Punjab bhi banaya gaya tha.

World Cup 2019: ICC ko tickets kay liye 25 lakh say zaid darkhuwastain mousool
Dubai: International Cricket Council ko Cricket World Cup 2019 kay tickets kay liye 25 lakh say zaid darkhuwastain mousool hui hain, Pak bharaat match kay ticket kay liye sab say darkhuwastain mousool huen.

Tafseelat kay mutabiq ICC ka kehna hai kay Cricket World Cup 2019 kay liye 25 Lakh say zaid darkhuwastain mousool hui hain, Pak Bharat Match kay Ticket kay liye sab say ziada darkhwastain mousool huven. Tickets ki taqseem marhalah war hogi.

ICC kay mutabiq World Cup kay bach janay wali tickets ki frokht 27 September ko hogi, ICC ka kehna hai kay World Cup kay Matches ki kuch tickets dastiyab hain, mega event ainda saal England main hoga.

Wazeh rahay chand mah qabal ICC ki janib say Mega event kay schedule ka elaan kiya gaya tha, jis kay mutabiq Cricket WorldCup 30 may say 14 july kay darmiyan England main khela jaye ga.

Mezban England aur South Africa kay darmiyan tournament ka pehla Match Oval kay medaan par 30 may ko khela jayega jabkay quomi team ka pehla match west indies kay khilaaf hai jo 31 may ko Trend Bridge main khela jayega.

Pakistan aur Bhaarat kay darmiyan aham takra 16 june ko Old Trafford main hoga.

Parole par rehai ki darkhuwast par Nawaz sharif aur Maryam ka dastakhat say inkaar: Shahbaz sharif
London: Muslim league N kay saddar aur sabiq wazeer e aala punjab Shahbaz Sharif nay kaha hai kay parole par rehai ki darkhuwast par nawaz sharif aur maryam nay dastakhat say inkar kiya.

In khayalat ka izhar inhon nay london main media say mukhtasir guftagu kartay huvay kiya, khayal rahay kay vo Nawaz Sharif ki aheliya Begum Kulsoom Nawaz ki namaz e janaza main shirkat kay liye wahan pohnachay hain.

Inhon nay kaha kay Nawaz Sharif aur Maryam Nawaz kay parole par rehai ki darkhuwast par inkaar kay bad main nay darkhuwast par dastakhat kiye.

Shahbaz sharif ka kehna tha kay Allah Talah ki adalat main sab ko pesh hona hai, quom say darkhuwast hai kay Begum Kulsoom Nawaz kay liye dua karay.

Sindh kabeena ka hangami ijlaas kal talab, 9 mah kay budget ki manzoori di jaye gi.
Karachi: Sindh kabeena ka hangami ijlaas kal talab karliya gaya, ijlaas main 9 mah kay budget ki manzoori di jayegi.

Tafseelat kay mutabiq sindh kabeena ka hangami ijlaas kal higa, sindh kabeena kay agenday main wuzra ki luxury gariyon ka istemal bhi shamil hai.

Ijlaas main 9 mah kay budget ki manzoori di jayegi, jabkay agenday main wuzra ki luxury gariyon ka istemal bhi shamil hai, supreme court nay luxury gariyon kay istemal say mana kardiya tha.

Doosri janib guzishta haftay sukkur main media say guftagu kartay huvay Sindh assembly kay speaker Agha siraj durrani nay kaha tha kay agar kisi ko eteraaz hai to sarkari gariyan bechnay kay lie tyar hain, mere sath koi bara protocol nahi hota.

Industry ko farogh dekar berozgari ka khatma kiya jasakta hai. Governor Punjab
Sahiwal: Governor Punjab chaudry sarwar nay kaha kay mulk main Industry ko farogh dekar be rozgari ka khatma kiya jasakta hai, Industry ko peron par khara karna hai.

In khayalat ka izhar inhon nay sahiwal main Chamber of Commerce main khitaab kartay huvay kiya, chuadry sarwar ka kehna tha kay dunya main Medium aur small industry rozgar farahim karti hai.

Inhon nay kaha kay Industry ko farogh day kar berozgari ka khatma mumkin banaya jaskta hai, bar amdaat aur daramdaat main waseh farq say Industry tabah hui.

Karachi kay mukhtalif elaqon main boondabandi, mausam khushgawar
Karachi: Shehar e quaid kay mukhtalif elaqon main boondabandi say mausam khushgawar hogaya aur halki thandi havaoun ka raaj hai.

Tafseelat kay mutabiq karachi kay mukhtalif elaqon main honay vali boondabandi say mausam khushgawar hogaya, jabkay halki thandi havaen bhi chal rahin hain.

Karachi kay elaqay Liaqatabad, Nazimabad, Jamshed Town, Lines Area, Saddar, Gulistan e Jauhaur aur Shahrae Faisal par boondabandi say mausam khushgawar hogaya.