Moscow: Russia ki janib say ilzam aaid kiya gaya hai kay america nay sham par mamnua phosphorus bomb giraye hain, amreeki hukaam nay ilzaam ki tardeed kardi.
Tafseelat kay mutabiq Russia nay America par ilzam aaid kiya hai kay us nay shami shaher Adlab main mamnoua phosphorus bomb giraye hain, jabkay America nay mazkoora ilzam ki tardeed kardi hai.
Gair mulki khabar risan idaray kay mutabiq sham main Russia nay shadeed fazai bombari ki, aur America par bhi ilzaam aaed kiya hai kay is nay mamnua phosphorus bomb istemal kiya hai.
Russia nay muaqif ikhteyar kiya hai kay America nay Adlab kay elaqay hajeen main Phosphorus bomb barsaye hain, tahum in hamlon kay bais kisi qisam ki halakat ya zakhmi honay ki ittalat samnay nahi aayi hain.
Is say qabal sham kay mussalah tanazae main daesh kay khilaaf America ki qayadat main qaim askari ittehad ki janib say phosphorus bomb istemal kiye jatay rahay hain.
Leave a Comment