Islamabad: wafaqi wazeer khazana asad umer nay zimni finance bill pesh kardiya, wazeer e azam, Governor, Aur wuzra ka tax istasna khtam kardiya gaya, sab ko aam Pakistaniyon ki tarhan tax dena hoga.
Tafseelat kay mutabiq Pakistan Tehreek e insaaf ki hukumat nay aaj baroz mangal zimni finance bill parliament main pesh kiya, parliament main bill pesh kartay huvay in ka kehna tha kay guzishta hukumat kay budget par chaltay to muashi lehaz say shadeed nuqsanat ka samna karna parta finanace bill main kaha gaya hai kay sabqa budget main khasara 1900 arab rupay say tajawuz kar jayega.
Parliament main bill pesh kartay huvay asad umer ka kehna tha kay muslim leaugue N kay pesh karda budget kay mutabiq inhen 8.2 fesaad budget khasara mila tha, qarzon main 34 arab rupay say zaid ka izafa huva hai, qarzay lene kay bawajud hamaray zaraemubadla kay dakhair do mah kay daramad kay liye bhi nahi hai, zarmubadlah kay zakhair 5 say 6 haftay ki satah par aye to dollar ki qeemat sab nay dekhli aur zar e mubadlah zakhair mazeed neechay anay say rupiya aur dabao main ayega.
In ka kehna tha kay rupay ki qadar kam honay say ashiyae khor do nosh tak mahengi hogayin hain. rupay ki qadar kam hoti hai to maqami gas bhi mahengi hoti hai, rupay ki qadar kam honay say tamam cheezon par barae rast asar hota hai.
Asad umer nay bataya kay mulk kay berooni qarzay 60 arab say barh kar 95 arab dollar hogaye hain jabkay circular debit main saray 500 arab ka izafa huva hai, hukumati debit 28 hazaar arab say tajawuz kargaya hai. imhon nay bataya kay workers diplomat fund ka 40 arab say zaid o wafaq nay roka huva hai aur mazdooron ki falah kay liye jo kam hotay hain vo tamam kaam rukay huvay hain.