web analytics
14.9 C
Karachi
Friday, January 3, 2025
- Advertisement -

Imran Khan itwaar ko khush khabri laykar Karachi arhay hain, Ali Zaidi

TOP NEWS

Web Desk
Web Desk
News Stories Posted by ARY News Digital Team

Karachi: Wazeer baraye Behri amoor Ali zaidi ka kehna hai kay Imran Khan itwaar ko khush khabri lay kar Karachi arhay hain, Karachi walon kay liye khush khabri ka elaan wazeer e azam khud karengay.

Tafseelat kay mutabiq wazeer baraye behri amoor Ali zaidi nay Karachi Airport par Media say guftagu kartay huvay kaha, Imran khan ko quom ko jaganay main 22 saal lag gaye, Wazeer e azam Imran khan nay Karachi par khaass tawajah di hai.

Wazeere baraye behri amoor ka kehna tha kay itwaar ko wazeer e azam Imran khan ka daura Karachi khususi ahmiyat ka hamil hai aur apnay is doray main shehr e quaid kay liye khususi elanaat karengay.

Ali zaidi nay kaha kay vohi mulk taraqqi karta hai, jahan behri nizam munazzam ho, Dubai ki tarraqi bhi badar gah say shuru hui thi. Yahan Karachi main ye haal hai kay kay lakhon gallon ganda pani roz samandar main phenka jata hai.

Corruption kay havalay say in ka kehna tha kay wazarat baraye behri amor bhi corruption ki nazar hui, jald idaray main honay vali couruption say agha karunga.

wazeer baraye behri amoor nay wazarat ko darpesh masail say mutalliq jald press conference karunga.

Guzishta roz wazeer behri amoor syed ali haider zaidi nay naval headquarter Islamabad main Pak behriya kay sarbarah say mulaqat ki thi, mulaqaat kay doran marie time amour par tabadalah khayal kiya gaya.

Tarjuman Pak behriya ka kehna tha kay naval chief nay mulk main moujood marie time potential par roshni daali aur wazeer behri amour ko marie time sector ki taraqqi aur security say muttaliq Pak behriya kay iqdamat say bhi agha kiya gaua.

Is moqay par Wafaqi wazeer nay Marie Time sector ki tarraqi aur aalmi behri aman main Pak behriya kay kirdar ko saraha.

- Advertisement -
- Advertisement -
 

Trending

POLL

With inflation coming down, is Pakistan's economy on the path to full recovery?

- Advertisement -
 

MORE STORIES