Islamabad: Wazeer-e-Azam imran khan nay kaha hai kay youm e difah hamaray milli ittehad o yakjaheti ka behtreen akaas hai, shuhda aur ghaziyon ko salaam e aqqedat pesh karty hain.
Ye baat inhon nay youm e difah Pakistan kay moqay par apnay pegham main kahin, wazeer azam nay kaha kay afvaaj-e-Pakistan nay dehshat gardi ky khilaaf jang main numaya kamiyabiyan hasil ki hain.
Afvaaj Pakistan ki qurbaniyon say madar e watan kay istehkaam ko mazeed dawam mila’ hamen piyar hai Pakistan say’ ka unwan quom ki umangon ka tarjuman hai.
unhon nay kaha kay dehshad gardi kay khilaaf bachon, jawanon, bhoorhon aur khawateen nay qurbaniyan dein, shuhda aur ghaziyon ko salaam e aqeedat pesh kartay hain, shuhda aur ghaziyon nay madar e watan kay difah ka fareeza bakhubi anjaam diya.
dehshad gardi kay khaatmay main afvaj Pakistan ki jurrat ko sarahta hoon, Pak fauj ki Mulk main Jamhooriyat aur aalmi aman kay liye koshishen laeq e tehseen hain.
Wazeer e azam nay
kaha kay hamsayon sameet poori dunya say barabari ki bunyad par talluqat chahtay hain, dunya maqbooza kashmir main bhaarti jarihyat ki rok tham kayliye kirdar ada karay, masla e kashmir ka aqwam e muttahida ki qarardadon kay mutabiq hal aman kayliye na guzeer hai.
Imran khan nay mazeed kaha kay Pakistani quom apni afvaaj say mil kar watan ki hifazat kayliye koi kasar nahi utha rakhay gi. quomi masail ka muqabla emaan, ittehad aur tanzeem par kar bandando reh kar karengay, Aiyay mil kr mehnat aur lagan say mulki taraqqi main apna hissa dalen, dehshat gardi kay khilaaf jung ko mantaqi anjaam tak pohanchanay kayliye jidojehad jari rahay gi.
unhon nay kaha kay main ek bar phir shuhda, ghaziyon aur in kay ahel khana aur rishta daron ko salaam e aqeedat pesh karta hoon aur quom ko yaqeen dilata hoon kay hum in ki falah o behbood main koi kasar nahi utha rakhaengay, dehshat gardi kay mantaqi anjaam tak bharpoor jidojehad jari rakhaingay.
Leave a Comment