Karachi: Saneha Baldia ko 6 saal beet gaye, JIT bani, tehqeqaat main pesh raft kay davay kiye gaye lekin kai tareekho kay bawajud mutasereen ko aaj tak insaaf na mil saka.
Tafseelat kay mutabiq Baldia factory ko 6 saal guzargaye lekin shauda kay lavaeqeen aaj bhi insaaf kay muntazir hain, 11 september 2012 ko Baldia Town ki factory main aatishzadgi say khawateen samet 259 mazdoor zinda jal gaye thay, bad main inkeshaf huva kay ek siyasi jamaat nay bhatta na milnay par factory ko aag lagai thi.
6 saal bad aaj bhi saneha Baldia ka case adalat main zere samaat hai aur zimedaron ko saza na mil saki, jal kar raakh honay walay 259 jismon say uhta dhuwan aaj bhi fiza main insaaf ka talabgar hai.
Ajj say 6 saal qabal aaj hi ki tareekh main ye afsosnaak saneha pesh aya, apnay piyaron kay zinda jalnay ka gham main doobay mutasreen aaj bhi insaaf kay muntazir hain.
11 September 2012 ki subha karachi baldia main waqaye factory kay mehnat kash ye nahi jante thay kay aaj in ki lash ghar wapis laye jaye gi. jalnay ki naqabil bardasht boo par koi pehchan bhi na payega. banda khaki rakh ka dher ban jayega.
Bewaoun aur yateemon ki chekhain aaj bhi falak ko cheertin hain. sawal peda hota hai kay ek do nahi darjanon begunahon kay khoon ka hisab kis say liya jaye ga? Case ki files par parnay vali then moti hoti jarhi hai.